Rind Lakhnavi

sailana un ke dar par jab mera jaana hua

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
sā.ilāna un ke dar par jab mirā jaanā huā
hañs ke bole shāh-sāhib kis taraf aanā huā
TuuTe but masjid banī mismār but-ḳhāna huā
jab to ik sūrat bhī thī ab saaf vīrāna huā
har jagah maujūd samjhā us ko sajda kar liyā
ḳhvāh masjid ḳhvāh girjā ḳhvāh but-ḳhāna huā
baaz rakhtī hai hameñ ḳhidmat se az-ḳhud-raftagī
aan nikleñge kabhī gar aap maiñ aanā huā
beshtar bulbul se thā sar meñ mire shor-e-junūñ
fasl-e-gul aane na paa.ī thī ki dīvāna huā
garmī-e-furqat meñ jab ashkoñ se mizhgāñ tar huiiñ
mardumān-e-chashm ke rahne ko ḳhas-ḳhāna huā
kār-ḳhāne jitne haiñ duniyā ke sab haiñ be-sabāt
aañkh se jo aaj dekhā kal vo afsāna huā
hañste hañste dil-lagī ke vāste naapā jo aaj
sarv kā qad us sahī-qāmat ke tā-shāna huā
yūsuf-e-misr-e-mohabbat kaisā arzāñ bik gayā
naqd-e-dil qīmat huī ik bosa bai.āna huā
jal ke us ne jaan dī ye naale kar ke rah ga.ī
ishq-e-bulbul par bhī faa.iq ishq-e-parvāna huā
ishq-e-dandāñ kī ḳhatā par qatl jo mujh ko kiyā
is liye shamshīr-e-qātil meñ bhī dandāna huā
maiñ ne jaanā kāsa-e-sar hai kisī mai-ḳhvār kā
vāzhgūna dast-e-sāqī meñ jo paimāna huā
muzhda-bād ai bāda-ḳhvāro daur-e-vā.iz ho chukā
madrase khole ga.e ta.amīr mai-ḳhāna huā
'rind' huuñ roz-e-azal se huuñ maiñ vārafta-mizāj
is liye taur-e-suḳhan bhī apnā rindāna huā
Top Urdushayar.com