Rind Lakhnavi

KHamosh dab-e-ishq ko bulbul liye hue

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
ḳhāmosh dāb-e-ishq ko bulbul liye hue
gul mast hai chaman meñ piyāla piye hue
imsāl fasl-e-gul meñ vo phir chaak ho ga.e
agle baras ke the jo garebāñ siye hue
ham bhī havā meñ ik gul-e-nau-ḳhez-e-husn ke
barsoñ phire haiñ chaak garebāñ kiye hue
dokāneñ mai-faroshoñ kī kab se paḌī haiñ band
rah rah ga.e haiñ qufl diye ke diye hue
ishq-e-sanam hai is meñ haiñ ḳhuddāriyāñ zarūr
ai dil ḳhudā ke vāste ḳhud ko liye hue
murshid hai ishq ham haiñ murīd us janāb ke
barsoñ guzar ga.e haiñ piyāla piye hue
vo aa ke muskurā.e is andāz-o-nāz se
khul khul ga.e jo zaḳhm-e-jigar the siye hue
roz-e-azal se daḳhl vajūd o adam meñ hai
donoñ ilāqe haiñ ye hamāre liye hue
haiñ but-parast dair meñ haajī haiñ ka.aba meñ
tālib razā-e-dost ke dharne diye hue
maidān-e-imtihāñ meñ hameñ bhej dījiye
kahiye unheñ ye kaam haiñ jin ke kiye hue
nāmard apne vaadī meñ rakkhegā kyā qadam
sar ho muhimm-e-ishq na be-sar diye hue
kis kis tarah kā bhes badal kar pahuñchte haiñ
āshiq hue na aap ke bahrūpiye hue
hāsil huā butoñ se na āshiq ko mudda.ā
raushan kabhī na dair meñ ghē ke diye hue
ta.avīz o naqsh kuchh nahīñ karte asar vahāñ
saare ye khaTkhaTe haiñ hamāre kiye hue
ik shab huī nasīb-e-sulaimāñ na jo parī
ham roz so.e us ko baġhal meñ liye hue
āñkhoñ meñ phirtī haiñ jo vo āñkheñ nashīlyañ
do botaloñ kī mastī hai be-mai piye hue
bāñdhā jo chust chust mazāmīn-e-nau ke saath
bandish se merī tañg bahut qāfiye hue
āshiq mizāj rote haiñ paḌh paḌh ke beshtar
ash.ār 'rind' ke na hue marsiye hue
Top Urdushayar.com