jalan dil kī likkheñ jo ham dil-jale
zabān-e-qalam meñ paḌeñ aable
rah-e-sa.ab-e-ulfat meñ ghabrā na dil
bahut aise pesh ā.eñge marhale
na din vo tumhāre na apnā vo sin
tumhāre hamāre vo din sin Dhale
adam kī bhī kyā raah hai be-nazīr
chale jaate haiñ pesh-o-pas qāfile
vo ab nīmchā kar chuke haiñ alam
ajal aa chukī sar pe kyūñ-kar Tale
Thahar jā koī dam ke mehmān haiñ
ḳhabar le hamārī chale ham chale
lakīreñ bhī miT miT ga.iiñ haath kī
zi-bas ham ne dast-e-ta.assuf male
rahe dil ke armān sab dil meñ haif
nikalne na paa.e mare hausle
baḌā ho buḌhāpe kā sab kho diyā
na merī javānī na vo valvale
gaḌā koī le kar dil-e-muztarib
mazāroñ meñ aane lage zalzale
siyah-kāriyoñ meñ kaTī umr sab
qalam kī tarah sar ke bal go chale
mohabbat butoñ kī ye dil chhoḌ de
kisī tarah chhātī se patthar Tale
shikāyat kā mauqa.a na thā vasl meñ
ki thī raah thoḌī bahut the gile
koī dam meñ hai naqsh-e-hastī fanā
kidhar dhyān hai terā o bāvle
kinār-e-lahad meñ paḌe haiñ vo aaj
jo āġhosh-e-mādar meñ the kal pale
galā teġh-e-qātil se ragḌā kiyā
na jhachkā zarā vaah re manchale
na laayā koī sham-o-gul gor par
lahad meñ bhī dāġh-e-mohabbat jale
chale bāġh-e-hastī se ham nā-murād
kisī rut meñ ai gul na phūle-phale
azal se haiñ ushshāq mazbūh-e-husn
jo mānind-e-māhī kaTe haiñ gale
jo fariyādī tere bhī aa nikle vaañ
zamīñ hogī mahshar kī ūpar-tale
jo abrū ke hoñge ishāre yūñhī
mirī jaan lākhoñ kaTeñge gale
kiye jaa.e kāvish palak yaar kī
abhī dil ke phūTe nahīñ aable
sirā meñ na ġhāfil ho bāñdho kamar
chalo saath vaalo chalo ham chale
rahe merā jism-e-misālī sahī
balā se ye putlā saḌe yā gale
ye sab sar-zamīñ fitnā-añgez hai
hazāroñ hī uThte haiñ yaañ ġhalġhale
nazar bhar ke phir dekh luuñ shakl-e-yār
jo aa.ī huī merī dam bhar Tale
hamesha rahā daaġh daaġh apnā jism
sadā misl-e-sarv-e-charāġhāñ jale
falak ko milānā thā gar ḳhaak meñ
to phir nāz-o-ne.amat se kyuuñ ham pale
rahe bār-var shāḳh-e-naḳhl-e-murād
ilāhī hamesha to phūle-phale
zamāne pe afsurdagī chhā ga.ī
na haiñ ab vo charche na vo mashġhale
musāfir huuñ dilvā.ūñgā nazr-e-ḳhizr
jo tai hoñge raste ke sab marhale
lahū shab se aatā hai ashkoñ ke saath
kaleje ke nāsūr shāyad chhile
basar ho ga.ī is tamannā meñ umr
koī dost yak-rañg mujh ko mile
ye kyā rog ab ho gayā 'rind' ko
ka.ī saal udhar tak the change bhale