Rind Lakhnavi

mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
mujh balā-nosh ko talchhaT bhī hai kaafī saaqī
bhar de chullū meñ jo ho shīshe meñ baaqī saaqī
bhar ke pilvātā nahīñ ek piyālī saaqī
saarī maiñ māñgtā huuñ detā hai aadhī saaqī
tū ne kyā ātish-e-hal-karda pilā dī saaqī
bhuun Daalā hai jigar aag lagā dī saaqī
phuul māñgūñ to pilātā hai barāñDī saaqī
kartā hai bazm-e-guzishta kī talāfī saaqī
jām-e-jam chāhiye rindoñ ko na shāhī saaqī
saltanat hai tire kūche kī gadā.ī saaqī
jaam auroñ ko diye mujh ko piyālī saaqī
ḳhud bahakne lagā mānind-e-sharābī saaqī
kyā karūñ pī ke bhalā ek piyālī saaqī
is tunuk-zarfī kā banda nahīñ aadī saaqī
kab se kahtā huuñ balā-nosh maiñ saaqī saaqī
aur pilvā de jo ho shīshe meñ baaqī saaqī
maraz-e-hijr meñ mai garche muzir hai lekin
maiñ to pī jaatā huuñ allāh hai saaqī saaqī
sub.h se shaam talak haath se chhuTtā nahīñ jaam
chāhiye apnā taḳhallus kare jaamī saaqī
maslahat hogī jo mahrūm rakhā mai se mujhe
fel hikmat se nahīñ hai tirā ḳhālī saaqī
mast kyā jāneñ kidhar dair hai ka.aba hai kahāñ
umr saarī tirī bhaTTī meñ guzārī saaqī
masjid o dair o kalīsā kī vo raunaq na rahī
tū ne buniyād jo mai-ḳhāne kī Daalī saaqī
dekhiye sohbat-e-nā-jins nibhegī kyūñ-kar
past-himmat tū tabī.at mirī aalī saaqī
fasl-e-gul aa chukī kyā duur se dahkātā hai
mai-e-gul-rañg se bhar bhar ke gulābī saaqī
vā.izo vohī karūñgā maiñ jo fatvā degā
qibla-o-kāba o murshid mirā haadī saaqī
shīsha-o-jām o subū hoñge abhī chaknāchūr
mast bahke to baḌī hogī ḳharābī saaqī
koī aafat tire mai-ḳhāne pe aa saktī hai
sab duā-go haiñ ye jitne haiñ sharābī saaqī
sirf lillāh bhī mai-ḳhāne meñ jaarī kar de
muqtazī ho jo tirī himmat-e-ālī saaqī
tañg ho kar tire har baar ke dahkāne se
kos baiThe na koī riñd-e-sharābī saaqī
jo piyegā na sharāb aaj vo mujrim hogā
kū-ba-kū kal se tū kar de ye munādī saaqī
dard bhī mujh ko pilā degā tū bad-mastī meñ
sab sunā dūñgā maiñ dīvān-e-zulālī saaqī
barf pilvā ke kaleja mirā ThanDā kar de
āb-e-añgūr ne to aag lagā dī saaqī
terā jī chāhe to pilvā de koī jām-e-sharāb
haath phailāne kā banda nahīñ aadī saaqī
nafs-e-garm kī tāsīr ne mai sāġhar se
sho.ala-e-lafz ke mānind uḌā dī saaqī
aur to hasrateñ sab 'rind' ke dil se niklīñ
jām-e-kausar kī tamannā rahī baaqī saaqī
Top Urdushayar.com