Rind Lakhnavi

saton falak kiye tah-o-baala nikal gaya

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
sātoñ falak kiye tah-o-bālā nikal gayā
āḳhir shab-e-firāq meñ naala nikal gayā
vahshat ne mujh pe arsa-e-hastī kiyā jo tañg
ghabrā ke sū-e-ālam-e-bālā nikal gayā
sar de de yād-e-gesū-e-jānāñ kī chaah meñ
piiTā karo lakīr ko kaalā nikal gayā
yāqūb-vār rotā maiñ us but ke hijr meñ
yūsuf mirā ḳhudā-e-ta.ālā nikal gayā
furqat meñ us kī shiddat-e-girya kahāñ talak
barsā baras ke abr kā jhālā nikal gayā
rokā kiye malā.eka haft āsmān ke
sātoñ falak ko toḌ ke naala nikal gayā
so.e na sākinān-e-mohalla sahar talak
be-sāḳhta jo raat ko naala nikal gayā
kyūñ-kar na roiye dil-e-gum-gashta ke liye
nāz-o-ni.am se thā jise paalā nikal gayā
pīr-e-muġhāñ faqīr ko samjhe sharāb-ḳhor
jis mai-kade meñ le ke piyālā nikal gayā
jaatā na ghar se aap ke zid se raqīb kī
lekin ba-pās-e-ḳhātir-e-vālā nikal gayā
jhaTkā jo uljhī zulf ko jhuñjhlā ke yaar ne
haale se machhlī kaan se baalā nikal gayā
kis rashk-e-gul kī dekhī qabā us ne tañg chust
bāhar jo apne jaame se laala nikal gayā
daana thā kyā harām kā rizq-e-halāl meñ
muñh se jo ai karīm nivāla nikal gayā
buuTā kaho na qāmat-e-dilbar ko shā.ero
ab sarv se bhī vo qad-e-bālā nikal gayā
rauñdā kiyā maiñ ḳhār-e-bayābāñ ko ai junūn
har ik bachā ke paañv kā chhālā nikal gayā
kambal meñ apne garm rahā maiñ faqīr-e-mast
kiyā gayā na dūr-dār duunā nikal gayā
phir chal dilā na kūcha-e-gesū kā qasd kar
hai aaj raah kaaT ke kaalā nikal gayā
uktā gayā ba-tañg huā kyā kare ġharīb
āḳhir tumhārā chāhne vaalā nikal gayā
mehmān hai faqīr hai sun leñge aap 'rind'
murshid kā apne kar ke pyālā nikal gayā
Top Urdushayar.com