Rind Lakhnavi

did-e-gulzar-e-jahan kyun na karen sair to hai

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
dīd-e-gulzār-e-jahāñ kyuuñ na kareñ sair to hai
ek din jānte haiñ ḳhātma-bilḳhair to hai
'rind' vaa.iz se abas karte ho shar ḳhair to hai
donoñ ghar ek haiñ ka.aba na sahī dair to hai
ḳhosha-chīñ bantā hai kyuuñ mazra-e-har-dahqāñ kā
vasf-e-insān nahīñ ye sifat-e-tair to hai
na basar hovegī be-nashsha qadah-ḳhvāroñ kī
ho agar mai kī munādī hai falak sair to hai
āshnā bahr-e-mohabbat ke shanāvar haiñ sab
tū bhī us aag ke dariyā ko agar pair to hai
rind-o-vā.iz ke bakheḌoñ meñ bhalā kaun paḌe
sab ko ma.alūm hai in donoñ meñ ik bair to hai
murġh-e-dil mardum-e-bīmār pe sadqa kar Daal
vāste sehhat-e-jāñ ke amal-e-tair to hai
jaise uḌtī sī sunī hai ḳhabar-e-qatl-e-safīr
pūchhtā phirtā huuñ ik ek se kyuuñ ḳhair to hai
sāqiyā chand ghaḌe mai ke qadah-ḳhvāroñ meñ
sarf lillāh agar hoñ amal-e-ḳhair to hai
dar-guzar hotā hai aur hogā ba-qadr-e-imkāñ
āḳhir-e-kār ye pā-posh-o-sar-e-ġhair to hai
kah liye 'rind' ne sab qāfiye koī na chhuTā
añgrezī magar ik qāfiya-e-fair to hai
Top Urdushayar.com