allāh ke bhī ghar se hai kū-e-butāñ aziiz
ka.abe se bhī ziyāda hai hindostāñ aziiz
ye musht-e-ḳhāk ho kahīñ maqbūl-e-bārgāh
miTTī hamārī kar bhī chuke āsmāñ aziiz
shikve kī jā-e-ġhair se baaqī nahīñ rahī
dushman se bhī ziyāda haiñ ḳhubān-e-jāñ aziiz
hastī adam se laa.ī hai kis mulk-e-ġhair meñ
koī na āshnā hai hamārā na yaañ aziiz
ai 'rind' apne ahd meñ qadr-e-suḳhan nahīñ
har asr meñ vagarna the ahl-e-zabāñ aziiz