tohmat-e-hasrat-e-parvāz na mujh par bāñdhe
vaj.h kyā khol ke sayyād ne phir par bāñdhe
bāġhbāñ ghaat meñ sayyād hamesha maujūd
āshiyāñ baaġh meñ bulbul kaho kyūñkar bāñdhe
jo chhurī dekh ke qassāb kī tharrāte the
shān-e-haq hai vahī ab phirte haiñ ḳhanjar bāñdhe
kal kiyā thā jo mire chāk-e-garebāñ meñ rafū
is ḳhatā par ga.e haiñ aaj rafū-gar bāñdhe
ho chukā thā jo mire tez-parī se āgāh
chust kar ke mire sayyād ne shahpar bāñdhe
sho.arā khā.eñge kyā kyā na abhī to dhoke
sarv bāñdhe koī us qad ko sanobar bāñdhe
mo.ajiza lab tirā goyā kare ai rashk-e-kalīm
jo zabāñ sehr se ye chashm-e-fusūñ-gar bāñdhe
mutma.in baiTh tū sayyād na kar qaid-e-shadīd
huuñ maiñ pāband-e-mohabbat tirā be-par bāñdhe
bāġh-e-ālam meñ usī ke liye hai nashv-o-numā
sūrat-e-ġhuncha rahe gāñTh meñ jo zar bāñdhe
bosa māñgā jo shab-e-vasl to bolā hañs kar
kahīñ aisā na ho har roz kī tū kar bāñdhe
dil kī betābī se Tāñke mire sab TuuT ga.e
paTTī jarrāh kaho zaḳhm pe kyūñkar bāñdhe
le to jā.egā ḳhat-e-shauq magar rashk ye hai
āshiyāñ baam par us ke na kabūtar bāñdhe
ummatī kyā kareñ aljūa na chillā.eñ agar
bhuuk meñ jabki nabī peT pe patthar bāñdhe
iftirā karne meñ tūfān hai vo shoḳh-e-zarīf
tūtiyā taaza koī aur na mujh par bāñdhe
mujh sā mahram tire mahram kā na hogā koī
beshtar khol diye band aur akasr bāñdhe
dast-e-san.at se bane us ke agar tujh sā but
kyuuñ havā apnī ḳhudā.ī kī na aazar bāñdhe
shā.irī ke liye lāzim hai talāzum na chhuTe
la.al lab ko tire tū dāñtoñ ko gauhar bāñdhe
pā-e-raftār agar hote to chaltā-phirtā
'rind' murdā sā paḌā rahtā na yuuñ sar bāñdhe