nahīñ qaul se fel tere mutābiq
kahūñ kis tarah tujh ko ai yaar sādiq
na jannat ke qābil na dozaḳh ke laa.eq
mujhe kyuuñ kiyā ḳhalq ai mere ḳhāliq
hue hijr meñ vo marz mujh ko lāhiq
rahe dañg jis meñ atibbā-e-hāziq
bharosā karam par hai ham āsiyoñ ko
ġhazab par samajhte haiñ rahm us kā faa.iq
faqat kun.ha zaat us kī ab tak na samjhe
hue munkashif aur saare daqā.eq
jhagaḌ leñge aapas meñ shaiḳh o barhaman
tujhe kyā bakheḌoñ se o mard-e-āshiq
jo ye us kī rahmat kī tuġhyāniyāñ haiñ
kujā zohd-e-zāhid kahāñ fisq-e-fāsiq
kiyā nafs ko mujh pe kyuuñ tū ne ġhālib
na thā kyā tirī bandagī ke meñ laa.eq
na rakhnā mujhe apnī rahmat se mahrūm
tirī zaat se hai ye ummīd-e-vāsiq
na taab aa.egī husn kī tere ai dost
maiñ muusā nahīñ huuñ jo jalve kā shā.iq
tajarrud kā aalam tujhe kyā burā thā
huā kis liye pā-e-band-e-alā.eq
shikāyat kā fiqara zabāñ tak na aayā
bahar-hāl kartā rahā shukr-e-ḳhāliq
sar o chashm se maiñ bajā lā.ūñ sāhib
jo ḳhidmat koī hove bande ke laa.eq
bhalā kis se bahlāūñ dil is chaman meñ
na sumbul na nasrīñ na gul na shaqā.iq
rūlāte ho āshiq ko be-vaj.h-o-bā.is
hañsnegī mirī jaan tum par ḳhalā.iq
kiye mo.ajaze husn ne donoñ yakjā
shab-e-tīra gesū jabīñ sub.h-e-sādiq
kahā sun ke afsāna-e-qai-o-lailā
abas karte ho haal meñ zikr-e-sābiq
gayā vo zamāna vo log uḌ ga.e sab
na ma.ashūq vaise rahe ab na āshiq
shunīdem nām-o-nishānash nadīdem
chū anqāst ma.adūm yār-e-muāfiq
mirī jaan muddat se martā huuñ tujh par
tire chāñd se muñh kā āshiq huuñ āshiq
huā rashk-e-lailā kī furqat meñ majnūñ
mirā haal aur qais kā hai mutābiq
abas fauq detā hai tū ḳhud ko nādāñ
kiyā ek ko ek par us ne faa.iq
vo munshī bane qudrat-e-haq to dekho
jo maktab meñ paḌhte the inshā-e-fā.iq
duā hai yahī aur yahī hai tamannā
najaf meñ mare jā ke ye 'rind'-e-fāsiq