Rind Lakhnavi

dil-lagi ghairon se be-ja hai meri jaan chhoD de

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
dil-lagī ġhairoñ se be-jā hai mirī jaañ chhoḌ de
maan kahnā tere sadqe tere qurbāñ chhoḌ de
āshiq-e-jāñ-bāz kyūñkar kū-e-jānāñ chhoḌ de
apnā aa ghar kis tarah sher-e-niystāñ chhoḌ de
ye nahīñ kahtā ki sayyād ab mujhe āzād kar
do ghaḌī ko bahr-e-gul-gasht-e-gulistāñ chhoḌ de
kaun kāfir phir kare sajda ḳhudā ke sāmne
kah to baiThe mujh se vo but apnā īmāñ chhoḌ de
tañg huuñ diq huuñ koī dam meñ nikal jā.egā dam
chhoḌ de dast-e-junūñ merā garebāñ chhoḌ de
ġhair-mumkin hai jo bhūlūñ ghar tirā ai rashk-e-hūr
mujh ko jannat meñ agar le jā ke rizvāñ chhoḌ de
ġhamza-e-bejā nahīñ uThte phuñkā jaatā hai dil
garmiyāñ apnī tū ai mehr-e-daraḳhshāñ chhoḌ de
phir phañsūñ maiñ dām-e-gesū meñ to kāfir jāniyo
chhoḌ de lillāh ab o nā-musalmāñ chhoḌ de
ho na rāz-e-ishq ifshā ābrū-rezī na ho
phuuT bahnā tū agar ai chashm-e-giryāñ chhoḌ de
tauq pheñkeñge gale meñ misl-e-qumrī saikḌoñ
nāzukī raftār o sarv-e-ḳhirāmāñ chhoḌ de
husn kā juuyā huuñ muddat se maiñ dīvāna-mizāj
mujh ko pariyoñ ke akhāḌe meñ sulaimāñ chhoḌ de
yuuñ bhulā.ī dil se yād-e-mus.haf-e-ruḳhsār 'rind'
hifz kar ke jis tarah se koī qur.āñ chhoḌ de
Top Urdushayar.com