kyūñ-kar na laa.e rañg gulistāñ na.e na.e
gaate haiñ raag murġh-e-ḳhush-alhāñ na.e na.e
shā.er na.e na.e haiñ suḳhan-dāñ na.e na.e
paidā hue haiñ ab to ġhazal-ḳhvāñ na.e na.e
dilbar matā-e-dil ke haiñ ḳhvāhāñ na.e na.e
kartā hai husn ishq ke sāmāñ na.e na.e
āseb-e-ishq sar se utartā nahīñ mire
likhtā hai naqsh roz parī-ḳhvāñ na.e na.e
bahkā ke tum ko koī lagā le na raah par
nikle ho aaj ghar se mirī jaañ na.e na.e
zoroñ pe haiñ junūñ kī badaulat hamāre haath
hote haiñ taar taar garebāñ na.e na.e
har roz ek vādī-e-nau sair-gāh hai
vahshat dikhā rahī hai bayābāñ na.e na.e
kis darja tañg huuñ tire hāthoñ se ai junūñ
lā.ūñ kahāñ se roz garebāñ na.e na.e
ġham kā guzar hai gaah gahe ḳhurmī kā daḳhl
aate haiñ roz ghar mire mehmāñ na.e na.e
sūrat se ik parī kī hameñ ishq-e-tāza hai
dīvāne ham hue haiñ sulaimāñ na.e na.e
har martaba zamāne ko hotā hai inqalāb
laatī hai svāñg gardish-e-daurāñ na.e na.e
mulk-e-adam hai yā koī nañgoñ kā shahr hai
har roz vaañ se aate haiñ uryāñ na.e na.e
ik taaza gul kā sāmnā hotā hai har baras
detā hai daaġh dil pe gulistāñ na.e na.e
pāband ik maqām ke hote nahīñ haiñ mard
sheroñ ke vāste haiñ niyastāñ na.e na.e
us zulf ke ḳhayāl meñ āñkheñ to band kar
dikhlā.ī deñge ḳhvāb-e-pareshāñ na.e na.e
kis kis tarah se chehre pe lahrā ke aatī hai
kartī hai naaz zulf-e-pareshāñ na.e na.e
āThoñ pahar hai ab to tabāhī kā sāmnā
uThte haiñ roz ashk ke tūfāñ na.e na.e
ro.egā kohna-sālī meñ ahd-e-shabāb ko
jab TuuT kar na nikleñge dandāñ na.e na.e
phirtā nahīñ vo dast-e-nigārīñ kisī tarah
kartā hai zor panja-e-marjāñ na.e na.e
kar sair chashm-e-ġhaur se jo zauq-e-sher hai
mazmūñ dikhā.egā mirā dīvāñ na.e na.e
hañs hañs ke baar baar na kyūñ-kar dikhā.eñ aap
nām-e-ḳhudā nikāle haiñ dandāñ na.e na.e