tū aap ko poshīda o iḳhfā na samajhnā
maiñ dekh rahā huuñ mujhe andhā na samajhnā
kam sher-e-zhiyāñ se mirā rutba na samajhnā
kuttā huuñ alī kā sag-e-duniyā na samajhnā
go zaar huā huuñ magar imdād-e-junūñ se
hai dev kī tāqat mujhe murdā na samajhnā
ham-rāh mire rahtī hai har dam madad-e-ġhaib
lākhoñ pe huuñ bhārī mujhe tanhā na samajhnā
bazm-e-ġham-e-shappīr meñ jo chashm se nikle
har ashk ko tasbīh kā ik daana samajhnā
jo dil ki mubarrā ho mohabbat se jahāñ kī
us dil ko dilā yaar kā kāshāna samajhnā
naama jo likhā hai use rakh chhoḌiyo sāhib
vo ḳhatt-e-ġhulāmī hai navishtā na samajhnā
kāfir huuñ na phūñkūñ jo tire ka.aba meñ ai shaiḳh
nāqūs baġhal meñ hai musallā na samajhnā
dīdār dikhā dījiye ġhash aa.eñ to aa.eñ
āshiq huuñ maiñ āshiq mujhe muusā na samajhnā
rakhnā na tavaqqo.a dil-e-nādāñ tū kisī se
us vaqt meñ apnoñ ko bhī begāna samajhnā
hāsil nahīñ samjhāne se nāseh tū samajh to
kyā samjhe bhalā ye dil-e-dīvāna samajhnā
bahkā huā āshiq nazar aa jaa.e jo koī
is chashm-e-fusūñ-sāz kā dīvāna samajhnā
chāhūñ to nikal jā.ūñ abhī pech se tere
uljhā mujhe o zulf-e-chalīpā na samajhnā
sar kaT ke jo qadmoñ pe gire rāh-e-vafā meñ
ye bhī madad-e-himmat-e-mardāna samajhnā
sehhat tirī mumkin nahīñ sun rakh dil-e-bīmār
ye gorkan aayā hai masīhā na samajhnā
har haal meñ ḳhursand huuñ tum ḳhush ho ki nā-ḳhush
banda huuñ mujhe āshiq-e-shaidā na samajhnā
pilvā de mai-e-hosh-rubā dekh mirā zarf
saaqī jo bahak jā.ūñ to dīvāna samajhnā
aa jaa.e koī Dher agar paaoñ ke nīche
ai sham-ruḳho marqad-e-parvāna samajhnā
dekho kisī chehre pe jo gesū koī bal-dār
af.ī hai use zulf-e-chalīpā na samajhnā
juuyā hai agar rutba-e-ālī kā jahāñ meñ
adnā se bhī ḳhud ko kabhī aalā na samajhnā
ai 'rind' na Tiknā kabhī arbāb-e-vara.a paas
mil baiThnā us se jise rindāna samajhnā