vaqār-e-shāh-e-zavil-iqtadār dekh chuke
zuhūr-e-qudrat-e-parvardigār dekh chuke
naqāb khol ke rū-e-nigār dekh chuke
kuchh ek baar nahīñ laakh baar dekh chuke
jahāñ ke aish-o-ġham-e-rozgār dekh chuke
jo dekhtā thā so parvardigār dekh chuke
vo jīte-jī hue iizā se naza.a kī āgāh
jo sadme tere shab-e-intizār dekh chuke
ḳhudā ke vāste ab chhoḌ jism-e-ḳhākī ko
aziyyateñ bahut o jān-e-zār dekh chuke
junūñ ne ḳhuub dikhā.ī bahār-e-jeb-o-kanār
havā meñ uḌte hue taar taar dekh chuke
vo qaul ġhair ko dete haiñ lete haiñ iqrār
tirī taraf ko dil-e-be-qarār dekh chuke
yaqīñ hai ab na kareñ mere qatl meñ tāḳhīr
fasāñ chaTā ke vo ḳhanjar kī dhaar dekh chuke
na Daal pech meñ ḳhātir na ab pareshāñ kar
bahut se dard-e-sar o zulf-e-yār dekh chuke
kare vo zīnat-e-fitrāk yā halāl kare
kahīñ idhar ko bhī vo shahsavār dekh chuke
na pahuñchā ek bhī zarra tumhāre dāman tak
uḌā ke ḳhaak bhī ham ḳhāksār dekh chuke
hue safed-o-siyāh-e-jahān se vāqif
bahut sī gardish-e-lail-o-nahār dekh chuke
kiye haiñ ḳhuub se nazzāre bāġh-e-hastī ke
jahāñ ko bas mire parvardigār dekh chuke
ilāhī tū ne sharaf jis ko āsmāñ pe diyā
vo sar-zamīn bhī ye ḳhāksār dekh chuke
nahīñ hai ek meñ himmat ye vo zamāna hai
ġharīb dekh chuke māl-dār dekh chuke
tahī hai nashsha-e-ulfat se ye ḳhum-e-gardūñ
sharābeñ pī ke tire bāda-ḳhvār dekh chuke
kulāh-e-kaj ko haTā kar dikhā diyā abrū
qasam alī kī khiñchī zul-fiqār dekh chuke
bhalā vo ḳhaak kareñ qasd bazm-e-hastī kā
jo log rāhat-e-kunj-mazār dekh chuke
huā yaqīn farishtoñ ko ḳhāksārī kā
kafan likhā jo ye ḳhatt-e-ġhubār dekh chuke
amāme-bāz jo ye kanThe ghaTTe vaale haiñ
jahāñ meñ jaise haiñ zī-e'tibār dekh chuke
aThā.ī-gīre haiñ sab ja.al-sāz haiñ mufsid
kuchh ek do nahīñ ham to hazār dekh chuke
sivā.e zāt-e-ḳhudā sab ke vāste hai fanā
sabāt-e-hasti-e-nā-pā.edār dekh chuke
qusūr-e-baḳht hai phir jaa.eñ ab agar mahrūm
dar-e-karīm to ummīd-vār dekh chuke
hazār-shukr ki baaqī nahīñ koī hasrat
bahār terī bhī o gul-ezār dekh chuke
najaf ko le ga.e mayyat farishta-e-naqqāl
aziiz khol ke merā mazār dekh chuke
faqīr bhī mutarassid nigāh-e-lutf kā hai
idhar bhī 'rind' mirā shahryār dekh chuke