Rind Lakhnavi

hain ye sare jite-ji ke waste

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
haiñ ye saare jīte-jī ke vāste
kaun martā hai kisī ke vāste
aadmī sahtā hai kyā kyā zillateñ
nafs-e-mardūd-e-shaqī ke vāste
ham bhī jā.eñge sulaimāñ tak kabhī
arz karne ik parī ke vāste
dar-ba-dar kūchoñ meñ ham bhī phir chuke
ek husn-e-ḳhān.gī ke vāste
kisht-zār-e-zāfrāñ se kam nahīñ
rañg-e-zard apnā hañsī ke vāste
kyuuñ diye haiñ tū ne qassam-e-azal
rañj lākhoñ ek jī ke vāste
do zakāt-e-husn kuchh darvesh ko
haiñ baḌe rutbe saḳhī ke vāste
ik se ik haiñ ek se le laakh tak
saf-shikan mard-e-jarī ke vāste
ġham ne is darja kiyā dil meñ hujūm
jā nahīñ hai ḳhurmī ke vāste
aur kyā ho yaar kī āñkhoñ se kaam
ḳhulq haiñ jādūgarī ke vāste
yaad rakhnā shart aur mashrūt hai
ādamiyat aadmī ke vāste
rañj-o-andoh-o-malāl-o-dard-o-ġham
sadme haiñ ye aadmī ke vāste
sabza-e-madfan ugā thā kyuuñ falak
āhūoñ kī kyā charī ke vāste
laḌ ga.e vo ik zarā sī baat meñ
pahroñ rūThe ik ghaḌī ke vāste
jī na ghabrā.e tirā be-mashġhale
ishq kar le dil-lagī ke vāste
kyā mujhe paidā kiyā hai ai ḳhudā
in butoñ kī bandagī ke vāste
be-kasī mere liye paidā huī
maiñ banā huuñ be-kasī ke vāste
bolā murġh-e-nāma-bar ko kar ke zabah
ye sazā hai elchī ke vāste
dhugdugī meñ jaan aTkī hai mirī
haa.e kis champā-kalī ke vāste
bāryāb-e-ḳhalvat-e-mahbūb hai
kyā sharaf hai ārasī ke vāste
marqad-e-tīra meñ kaafī hai mujhe
dāġh-e-saudā raushnī ke vāste
kījiye har dam abas tan-parvarī
ai ajal kis zindagī ke vāste
ḳhāma-e-qudrat ne khīñchīñ vo bhaveñ
rāstī ye hai kajī ke vāste
hashr ke din 'rind' ko baḳhshā.īyo
yā-alī rūh-e-nabī ke vāste
Top Urdushayar.com