Rind Lakhnavi

aaj inkar na farmaiye aap

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
aaj inkār na farmā.iye aap
shab kī shab ghar mire rah jā.iye aap
jā.iye ghar ko na ghabrā.iye aap
ham na mar jā.eñge bas jā.iye aap
khol do shauq se band añgiyā ke
leT kar saath na sharmā.iye aap
aate hī kahte ho maiñ jā.ūñgā
maiñ bhī aane kā nahīñ jā.iye aap
DhūñDhte phiriye agar le ke charāġh
mujh sā āshiq jo kahīñ pā.iye aap
umr bhar to na qadam-ranja kiyā
aa.iye ab to na tarsā.iye aap
jān-e-mushtāq laboñ par aa.ī
kuchh vasiyyat hai vo sun jā.iye aap
dil samajhtā nahīñ mujh se nāseh
aap se samjhe to samjhā.iye aap
sāya-sāñ shauq meñ uftāñ-ḳhezāñ
saath rahtā huuñ jidhar jā.iye aap
maiñ dikhā.ūñ jo junūñ kī hai sifat
shaan be-rahmī kī dikhlā.iye aap
TukḌe TukḌe maiñ garebāñ ke karūñ
purze purze mire āḌā.iye aap
shaad ho ruuh agar ba.ad-e-fanā
sham-o-gul gor pe bhijvā.iye aap
jaan sadqe karūñ kyā maal hai jaan
kaaT duuñ sar ko jo farmā.iye aap
muñh pe muñh rakkhā to bole kyā ḳhuub
pahle muñh apnā to banvā.iye aap
ġhair kaTne lageñ bañdh jaa.e havā
mujh se tukkal agar uḌvā.iye aap
naam tak luuñ na kabhī huuñ vo bashar
ab agar huur bhī ban jā.iye aap
haath se 'rind' ko khote ho abas
kahīñ aisā na ho pachhtā.iye aap
Top Urdushayar.com