Rind Lakhnavi

gale lagaen balaen len tumko pyar karen

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
gale lagā.eñ balā.eñ leñ tum ko pyaar kareñ
jo baat maano to minnat hazār baar kareñ
ye haath kaise haiñ be-kār kuchh to car kareñ
bahār aa.ī garebān taar taar kareñ
kahāñ se laa.eñ ab us ko jo ham-kanār kareñ
tasallī kyā tirī o jān-e-be-qarār kareñ
vo rabt tum se baḌhā.eñ vo tum ko yaar kareñ
hazār tarah ke jo jabr iḳhtiyār kareñ
girā.e sail-e-anāsir kī chaar dīvārī
ḳharāb ḳhāna-e-tan chashm-e-ashk-bār kareñ
tumhāre dar se na māyūs jaa.eñ hājat-mand
qubūl hove jo tauba gunāhgār kareñ
kafan bhī ho gayā mailā dhare dhare ai maut
tamām umr huī kab tak intizār kareñ
ba-rañg-e-ġhuncha zabāñ hai dahāñ meñ zer-e-zabāñ
tumhāre qaul kā kyā ḳhaak e'tibār kareñ
gadā tire dar-e-daulat ke haiñ ye mustaġhnī
jo saltanat bhī mile to na iḳhtiyār kareñ
ġhurūr-e-husn se hargiz sunegā ek na gul
chaman meñ naale agar bulbuleñ hazār kareñ
sunā.e rakhtā huuñ sab ko mirī vasiyyat hai
ki tā isī pe amal mere ġham-gusār kareñ
charāġh-e-zīst jab us nañg-e-dūdmāñ kā ho gul
aziiz sham.a na raushan sar-e-mazār kareñ
tire sivā hai karīm aur rahīm kis kī zaat
najāt kis se talab ham gunāhgār kareñ
bajā.e-surma lagā.eñ ġhubār-e-kūcha-e-yār
yahī ilaaj tirā chashm-e-ashk-bār kareñ
sitam-shi.ār jafā-pesha be-muravvat hai
sarāhi.ye jigar un ke jo tujh ko pyaar kareñ
baḌhā ke likkheñ na shā.er hadīs-e-zulf-e-rasā
huā hai tuul munāsib hai iḳhtisār kareñ
dar-e-karīm se aatī hai muttasil ye sadā
vo kyuuñ na paa.e jise ham umīd-vār kareñ
ye but uThā.eñ jo qur.āñ bhī ka.abe meñ ai 'rind'
ḳhudā se ham to hoñ munkir jo e'tibār kareñ
Top Urdushayar.com