dil kis se lagā.ūñ kahīñ dilbar nahīñ miltā
kyā zulm sahūñ koī sitamgar nahīñ miltā
ḳhat le ke gayā jo vo kabūtar nahīñ miltā
kyā zikr kabūtar kā hai ik par nahīñ miltā
zulfoñ kī tarah umr basar ho ga.ī apnī
ham ḳhāna-ba-doshoñ ko kahīñ ghar nahīñ miltā
kyā ḳhaak mudāvā kareñ shorīda-sarī kā
sar phoḌne ko DhūñDheñ to patthar nahīñ miltā
gunjalak nahīñ miTtī jo tabī.at meñ paḌī hai
dil tujh se kisī taur se dilbar nahīñ miltā
kyā kījiye tārīf binā gosh kī us ke
āveze ko jis kaan ke gauhar nahīñ miltā
gum jab se huā huuñ maiñ tirī rāh-e-talab meñ
jab DhūñDhtā huuñ aap ko akasr nahīñ miltā
kuchh tālib-e-zar but hī nahīñ ġhaur se dekho
haq yuuñ hai ki allāh bhī be-zar nahīñ miltā
sūrat nahīñ miltī tirī sūrat se kisī kī
gahne se kisī ke tirā zevar nahīñ miltā
ārā.isheñ mauqūf huiiñ kis liye ai jaan
gauhar nahīñ miltā hai ki zar-gar nahīñ miltā
abrū kī mohabbat meñ kise ziist hai manzūr
mar jā.ūñ galā kaaT ke ḳhanjar nahīñ miltā
rindān-e-mai-āshām nahīñ jaam ke pāband
ham ok se piite haiñ jo sāġhar nahīñ miltā
vahshat meñ nikal jā.ūñ maiñ sarhad se zamīñ kī
is gumbad-e-gardāñ kā vale dar nahīñ miltā
o barq-e-tajallī tire kushte kī lahad par
kyā lauh bane tuur kā patthar nahīñ miltā
hāzir huuñ mujhe basta-e-fitrāk-e-faras kar
gar said koī tark-e-sitamgar nahīñ miltā
āshiq se na khīñch aap ko ai bādshah-e-husn
darvesh se kyā jhuk ke tavañgar nahīñ miltā
jo zaḳhm ko siine ke siye Tāñke jigar ko
aisā koī ustād rafūgar nahīñ miltā
ai 'rind' labālab ho jo irfān kī mai se
sāġhar vo ba-juz sāqi-e-kausar nahīñ miltā