kisī shai par bhī iḳhtiyār nahīñ
ziist meñ kuchh bhī pā.edār nahīñ
ye bhī hai mo.ajiza mohabbat kā
ġham ka.ī koī ġham-gusār nahīñ
maiñ ne duniyā nisār kī jis par
mujh pe us ko hī e.atibār nahīñ
saare matlab ke rishte-nāte haiñ
koī rishta bhī ustuvār nahīñ
har ghaḌī be-qarār rahtā hai
dil ko hāsil kabhī qarār nahīñ
rāhatoñ kā to zikr hī kyā hai
ġham bhī duniyā meñ pā.edār nahīñ
log duniyā ke ḳhud-ġharaz haiñ 'karan'
ye kisī ke bhī ġham-gusār nahīñ