Karan Singh Karan

hasin subh hasin sham chahta hun main

Karan Singh Karan

hasīñ sub.h hasīñ shaam chāhtā huuñ maiñ
ki zindagī ko ḳhush-anjām chāhtā huuñ maiñ
zarā sā muskurā ke merī taraf dekh to lo
huuñ tishna bāda-e-gulfām chāhtā huuñ maiñ
nahīñ hai shak koī is meñ to nek-sīrat hai
zamāne bhar meñ tirā naam chāhtā huuñ maiñ
vo jis ke vāste khā.īñ haiñ Thokareñ kitnī
usī ko ham-safar har gaam chāhtā huuñ maiñ
tirā ḳhayāl ho dil meñ laboñ pe zikr tirā
ki phir se yuuñ sahar-o-shām chāhtā huuñ maiñ
'karan' ye kaun kahe baḌh ke mere saaqī ko
ki us ke hāthoñ se ik jaam chāhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com