ai husn jab se raaz tirā pā ga.e haiñ ham
hastī se apnī aur qarīb aa ga.e haiñ ham
yuuñ bhī huā ki jaan gañvā dī tire liye
yuuñ bhī huā ki tujh se bhī katrā ga.e haiñ ham
rāh-e-vafā meñ aise maqāmāt bhī mile
apnā sar-e-niyāz bhī Thukrā ga.e haiñ ham
yādash-ba-ḳhair ik gul-e-shādāb the kabhī
aisī ḳhizāñ paḌī hai ki kumhlā ga.e haiñ ham
sub.h-e-visāl thī to tabī.at thī baaġh baaġh
shām-e-firāq aa.ī to sañvlā ga.e haiñ ham
insān terī fat.h pe ab bhī yaqīn hai
go apnī zindagī se bhī ghabrā ga.e haiñ ham
mahrūmiyoñ kā bār-e-girāñ dosh par liye
ai maut sun ki tere qarīb aa ga.e haiñ ham
apne subū meñ talḳhī-e-daurāñ sameT kar
bā-sad-ḳhulūs nosh bhī farmā ga.e haiñ ham
tārīḳh-e-inqilāb-e-zamāna se pūchh lo
jab jab sadā milī sar-e-dār aa ga.e haiñ ham
'ajmal' jab un kī bazm meñ chheḌī hai dil kī baat
apne to ḳhair ġhair ko taḌpā ga.e haiñ ham