do pal ke haiñ ye sab mah o aḳhtar na bhūlnā
sūraj ġhurūb hone kā manzar na bhūlnā
kitnī tavīl kyuuñ na ho bātil kī zindagī
har raat kā hai sub.h muqaddar na bhūlnā
yādoñ ke phuul ghar se uThā kar chale to ho
dekho inheñ kisī jagah rakh kar na bhūlnā
maañ ne likhā hai ḳhat meñ jahāñ jaao ḳhush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhūlnā
haq par agar chaloge to har aaḌe vaqt meñ
tum ko panāh degī ye chādar na bhūlnā