āzār bahut lazzat-e-āzār bahut hai
dil dast-e-sitam-gar kā talabgār bahut hai
iqrār kī manzil bhī zarūr aa.egī ik din
is vaqt to bas lazzat-e-inkār bahut hai
yārān-e-safar koī davā DhūñD ke laao
insān mire daur kā bīmār bahut hai
haañ dekhiyo irfān-e-baġhāvat na jhulas jaa.e
manzar mirī duniyā kā sharar-bār bahut hai
ham ghar kī panāhoñ se jo nikle to ye jaanā
hañgāma pas-e-sāya-e-dīvār bahut hai
qātil kī ināyat kā maza aur hai varna
jaañ lene ko ye saañs kī talvār bahut hai
kyā log haiñ ye soch ke baiThe huuñ gharoñ meñ
bas zulm se be-zārī kā iz.hār bahut hai
hālāt-e-zamāna se laraz jaate haiñ 'ajmal'
yuuñ hai ki zamāne se hameñ pyaar bahut hai