har ujālā na.ī sahar to nahīñ
raat kī umr rāt-bhar to nahīñ
aadmī chand gaam baḌh na sake
zindagī itnī muḳhtasar to nahīñ
ik ujālā sā saath rahtā hai
sochtā huuñ tirī nazar to nahīñ
ek hañgām hai bayābāñ meñ
koī āmāda-e-safar to nahīñ
vaqt be-shak aziim hai lekin
mujh se tujh se azīm-tar to nahīñ
duur kuchh saa.e se haiñ sahrā meñ
rāh-e-gum-karda ham-safar to nahīñ
aap jo bhī kaheñ vo sach 'ajmal'
aap ab itne mo'atabar to nahīñ