vaqt-e-safar qarīb hai bistar sameT luuñ
bikhrā huā hayāt kā daftar sameT luuñ
phir jaane ham mileñ na mileñ ik zarā ruko
maiñ dil ke ā.īne meñ ye manzar sameT luuñ
yāroñ ne jo sulūk kiyā us kā kyā gilā
pheñke haiñ dostoñ ne jo patthar sameT luuñ
kal jaane kaise hoñ ge kahāñ hoñge ghar ke log
āñkhoñ meñ ek baar bharā ghar sameT luuñ
tār-e-nazar bhī ġham kī tamāzat se ḳhushk hai
vo pyaas hai mile to samundar sameT luuñ
'ajmal' bhaḌak rahī hai zamāne meñ jitnī aag
jī chāhtā hai siine ke andar sameT luuñ