Ajmal Ajmali

raste ke pech-o-KHam kya shai hain socha hi nahin

Ajmal Ajmali

Allahabad, Uttar pradesh, India

1932-1993
rāste ke pech-o-ḳham kyā shai haiñ sochā hī nahīñ
ham safar par jab se nikle muḌ ke dekhā hī nahīñ
do ghaḌī ruk kar Thahar kar sochte manzil kī baat
rāste meñ koī aisā moḌ aayā hī nahīñ
zindagī ke saath ham nikle the le kar kitne ḳhvāb
zindagī bhī ḳhatm hai mausam badaltā hī nahīñ
ik diyā yādoñ kā thā raushan thī jis se bazm-e-shab
jaane kyā guzrī ka.ī rātoñ se jaltā hī nahīñ
zindagī bhar pai-ba-pai ham ne kurede apne zaḳhm
ham se chhuT kar us pe kyā guzrī ye sochā hī nahīñ
aarzū thī khīñchte ham bhī koī aks-e-hayāt
kyā kareñ ab ke lahū āñkhoñ se Tapkā hī nahīñ
is tarah kaise ho 'ajmal' chāra-e-dil kī ummīd
dard apnā āḳhirī had se guzartā hī nahīñ
Top Urdushayar.com