fir.aun-e-vaqt koī bhī ho sar-kashī karo
yārān-e-shahr merī tarah zindagī karo
amrit nahīñ nasīb to zahrāb hī sahī
kuchh to ilāj-e-shiddat-e-tishna-labī karo
ye zulmat-e-tamām musalsal nahīñ qubūl
dil kā lahū balā se jale raushnī karo
muñh dekhī dostī se ab uktā gayā hai dil
yaaro karo ḳhulūs se go dushmanī karo
ham har-nafas khilā.enge apne lahū se phuul
tum ehtimām-e-dār-o-rasan har ghaḌī karo
har sher ābgīna hai mauj-e-ḳhayāl kā
lo kaam ehtiyāt se jab shā.irī karo
kaliyāñ khilāne aa.egā jhoñkā nasīm kā
tum raah meñ hazār fasīleñ khaḌī karo