dariyā kā chaḌhāv bāñdh lenā
sailāb meñ naav bāñdh lenā
shahroñ ke ġhubār uḌ rahe haiñ
sahrā kī havāo bāñdh lenā
bārish meñ phirā huuñ shab huī hai
zulfoñ kī ghaTāo bāñdh lenā
zaḳhmoñ kī numā.isheñ nahīñ ḳhuub
ye ziist ke ghaav bāñdh lenā
āmāda-e-sarkashī haiñ jazbāt
mere qarīb aao bāñdh lenā
aalam kī rageñ sī TūTtī haiñ
jismoñ ke khiñchāv bāñdh lenā
kyuuñ ruḳh pe havā.iyāñ uḌī haiñ
phir ham se lagāv bāñdh lenā