raushnī laTkī huī talvār sī
husn-afzā zindagī ḳhūñ-ḳhvār sī
ḳhushbuoñ kī narm ham-āġhoshiyāñ
darmiyāñ ik āhanī dīvār sī
sāmne sad-rañg nusḳhe, mashvare
zindagī sadiyoñ se kuchh bīmār sī
kaalī āñkhoñ meñ shahābī karvaTeñ
koī ḳhvāhish raat meñ bedār sī
mahv se hote hue aḳhbārī shor
yaad kī aahaT achānak taar sī
ūñghtī sī har taraf bedāriyāñ
aañkh us kī har tarah hushyār sī
dil vahī barbād aur sadiyoñ kī gard
vaqt kī har fat.h bhī be-kār sī