mahkī shab ā.īna dekhe apne bistar se bāhar
ḳhvāb kā aalam reza reza chashm-e-manzar se bāhar
hashr sadā hai parvāzoñ meñ ruuī ke gaale ūñche pahāḌ
āsmāñ ik shīshe kā TukḌā vaqt ke shahpar se bāhar
ḳhuun ugaltā jism shafaq sī phūlī āñkhoñ āñkhoñ meñ
qaus-e-quzah ke nāzuk baazū dast-e-ḳhanjar se bāhar
zehn-o-nazar meñ andar andar phūlte-phalte mausam-e-gul
ḳhushbū ḳhushbū lafz ke jaadū rañg lab-e-tar se bāhar
tashbīheñ pechīda kinā.e do-ālam ke razm-o-ilm
ġhaur se dekho kuchh bhī nahīñ us husn ke paikar se bāhar