raat aañsū ko tirī aañkh meñ dekhā ham ne
rakh diyā toḌ ke jaise koī taarā ham ne
gum-shuda jism mile halqa-e-bāzū jaage
shaam se oḌh liyā aaj saverā ham ne
ġham meñ ḳhush rahte haiñ har sāya-e-qurbat se duur
ab badal Daalā mizāj ahl-e-vafā kā ham ne
os meñ mahkī huī raat ke poñchhe aañsū
sub.h ko de diyā hañstā huā chehrā ham ne
ḳhatm ḳhush-fahmi-e-sairābī huī hoñToñ tak
aañkh se dekhā hai pyāsā koī dariyā ham ne
chakh liyā jazba-e-vārafta ne ik rañg-e-hayāt
kar liyā apne lab-e-sāda ko jhūTā ham ne