Hayat Madrasi

Khaal-e-ruKHsar ko dagh-e-mah-e-kaamil bandha

Hayat Madrasi

ḳhāl-e-ruḳhsār ko dāġh-e-mah-e-kāmil bāñdhā
chashm-e-maḳhmūr ko kaunain kā hāsil bāñdhā
ham ne is shahr-e-sitamgar ke har ik zarre ko
zauq-e-sajda kī qasam sajda-gah-e-dil bāñdhā
ham ne har vādī-e-pur-ḳhār ko zīnat baḳhshī
sar pe har ḳhaar ke ik turra-e-manzil bāñdhā
koī dekhe to sahī hausla-mandī apnī
ham ne tūfān kī har ik mauj ko sāhil bāñdhā
jazba-e-dil ko ba-andāz-e-digar maiñ ne 'hayāt'
kabhī kashtī kabhī tūfāñ kabhī sāhil bāñdhā
Top Urdushayar.com