Hayat Madrasi

par-e-jibril bhi jis rah mein jal jate hain

Hayat Madrasi

par-e-jibrīl bhī jis raah meñ jal jaate haiñ
ham vahāñ se bhī bahut duur nikal jaate haiñ
mahfil-e-dil ko hai māñge ke ujāle se gurez
diip dāġhoñ ke sar-e-shām hī jal jaate haiñ
saaf uḌ jaatā hai ḳhāsān-e-ḳharābāt kā rañg
ham vo mai-ḳhvār haiñ pī pī ke sambhal jaate haiñ
ik haqīqat hī haqīqat hai azal ho ki abad
vaise afsānoñ ke unvān badal jaate haiñ
dekhiye naqsh-e-kaf-e-pā-e-vafā kā e.ajāz
rāste duudh ke mānind ubal jaate haiñ
zindagī asl meñ ta.amīr-e-mohabbat hai 'hayāt'
de ke ham dahr ko paiġhām-e-amal jaate haiñ
Top Urdushayar.com