bhūlī-bisrī huī yādoñ meñ kasak hai kitnī
Dūbtī shaam ke atrāf chamak hai kitnī
manzar-e-gul to bas ik pal ke liye Thahrā thā
aatī jaatī huī sāñsoñ meñ mahak hai kitnī
gir ke TuuTā nahīñ shāyad vo kisī patthar par
us kī āvāz meñ tābinda khanak hai kitnī
apnī har baat meñ vo bhī hai hasīnoñ jaisā
us sarāpe meñ magar nok-palak hai kitnī
jaate mausam ne jinheñ chhoḌ diyā hai tanhā
mujh meñ un TūTte pattoñ kī jhalak hai kitnī