koī chehra na sadā koī na paikar hogā
vo jo bichhḌegā to badlā huā manzar hogā
be-shajar shahr meñ ghar us kā kahāñ tak DhūñDeñ
vo jo kahtā thā ki āñgan meñ sanobar hogā
apne sab ḳhvāb na yuuñ aañkh meñ le kar niklo
dhuup hogī to kisī haath meñ patthar hogā
ham se kahtā thā ye nādīda zamīnoñ kā safar
kahīñ sahrā to kahīñ niilā samundar hogā
us ne kuchh bhī na liyā ham se zar-e-gul ke evaz
vo kisī phuul kī bastī kā tavañgar hogā
ham agar hote use sāya-e-gul meñ rakhte
jis ne dhūpoñ meñ jalāyā vo sitamgar hogā
jism kī aag mirā naam bachā.e rakhnā
ab ke sunte haiñ ki barfīlā december hogā