zindagī aise gharoñ se to khañDar achchhe the
jin kī dīvār hī achchhī thī na dar achchhe the
un kī jannat meñ rahe ham to ye ehsās huā
apne vīrānoñ meñ ham ḳhāk-basar achchhe the
band thī ham pe vahī rāh-e-gulistāñ ki jahāñ
saaya karte hue do-rūya shajar achchhe the
umr kī andhī guphāoñ kā safar lambā thā
vo to kahiye ki rafīqān-e-safar achchhe the
kahīñ sahrā kahīñ jañgal to kahīñ dariyā the
mere hisse kī zamīñ tere safar achchhe the
sair-e-duniyā se jo lauTe to ye jaanā ham ne
shahr-e-'ġhālib' tire ḳhūbāñ-e-nazar achchhe the