tamām rāsta phūloñ bharā tumhārā thā
hamārī raah meñ bas naqsh-e-pā hamārā thā
us ek sā.at-e-shab kā ḳhumār yaad kareñ
badan ke lams ko jab ham ne mil ke bāñTā thā
vo ek lamha jise tum ne chhū ke chhoḌ diyā
us ek lamhe meñ kaif-e-visāl saarā thā
phir is ke ba.ad nigāhoñ ne kuchh nahīñ dekhā
na jaane kaun thā jo sāmne se guzrā thā
ab us ke naam pe dil ne dhḌaknā chhoḌ diyā
vo jis ko ham ne kabhī be-hisāb chāhā thā
vo jis ko dekhā thā akasr hujūm-e-yārāñ meñ
vo ek shaḳhs bahut un dinoñ akelā thā
tamām saut-o-sadā chup se ho ga.e the 'zubair'
vo jab sukūt ke patthar pe gir ke TuuTā thā