kabhī ḳhirad se kabhī dil se dostī kar lī
na pūchh kaise basar ham ne zindagī kar lī
añdherī raat kā manzar bhī ḳhuub thā lekin
tum aa ga.e to charāġhoñ meñ raushnī kar lī
tumhārā jism hai jāḌoñ kā sard sannāTā
harārtoñ se kahāñ tum ne dostī kar lī
huzūr-e-dost ajab hādisa huā yaaro
har ek harf-e-shikāyat ne ḳhud-kushī kar lī
liye phire haiñ bahut tum ko dil kī galiyoñ meñ
is ek baat pe duniyā ne dushmanī kar lī
har ek moḌ pe ḳhanjar-ba-kaf thī tanhā.ī
ġharīb-e-shahr ne ghabrā ke ḳhud-kushī kar lī