barsoñ meñ tujhe dekhā to ehsās huā hai
har zaḳhm tirī yaad kā andar se harā hai
vo kaun thā kis samt gayā DhūñDh rahā huuñ
zanjīr dar-e-dil koī khaTkā ke gayā hai
jī chāhe use vaqt ke hāthoñ se uḌā le
jo ruuh kī ḳhāmosh guphāoñ meñ milā hai
patthar ke sanam puujo ki miTTī ke ḳhudāvand
har bāb-e-karam der huī band paḌā hai
pūchho na mire ahd ke insāñ kī hikāyat
tanhā.ī ke sahrāoñ meñ hairān khaḌā hai