phir dil ko roz o shab kī vahī iid chāhiye
TuuTe ta.alluqāt kī tajdīd chāhiye
ḳhālī nahīñ hai ek bhī bistar makān meñ
ik ḳhvāb dekhne ke liye niiñd chāhiye
ham māñgte rahe tire ruḳhsār o lab kī ḳhair
ai sāhab-e-jamāl tirī diid chāhiye
ham ko to ik rifāqat-e-āshufta-sar bahut
in ko hujūm-e-rāh kī tā.īd chāhiye
har āstīñ ke ḳhuun ne qātil batā diye
shahr-e-sitam ko zulm kī tardīd chāhiye
ham par zamīñ ke raaz to sab munkashif hue
ab āsmāñ ke hone kī tamhīd chāhiye