Zubair Rizvi

dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin

Zubair Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1935-2016

dil ke tātār meñ yādoñ ke ab aahū bhī nahīñ

ā.īna māñge jo ham se vo parī-rū bhī nahīñ

dasht-e-tanhā.ī meñ āvāz ke ghuñgrū bhī nahīñ

aur aisā bhī ki sannāTe jaadū bhī nahīñ

zindagī jin rifāqat pe bahut nāzāñ thī

un se bichhḌī to koī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ

chāhte haiñ rah-e-mai-ḳhāna na qadmoñ ko mile

lekin is shoḳhi-e-raftār pe qaabū bhī nahīñ

talḳhiyāñ niim ke pattoñ milī haiñ har

ye mirā shahr kisī phuul ḳhushbū bhī nahīñ

jaane kyā soch ke ham ruk ga.e vīrānoñ meñ

partav-e-ruḳh bhī nahīñ sāya-e-gesū bhī nahīñ

husn-e-imroz ko tashbīhoñ meñ tauleñ kaise

ab vo pahle se ḳham-e-kākul-o-abrū bhī nahīñ

ham ne paa.ī hai un ash.ār pe bhī daad 'zubair'

jin meñ us shoḳh tārīf ke pahlū bhī nahīñ

Top Urdushayar.com