hai dhuup kabhī saaya sho.ala hai kabhī shabnam
lagtā hai mujhe tum sā dil kā to har ik mausam
biite hue lamhoñ kī ḳhushbū hai mire ghar meñ
bōk-rack pe rakkhe haiñ yādoñ ke ka.ī album
kamre meñ paḌe tanhā a.asāb ko kyuuñ toḌo
niklo to zarā bāhar detā hai sadā mausam
kis darja mushābah ho tum 'mīr' kī ġhazloñ se
lahje kī vahī narmī bātoñ kā vahī aalam
sāhil kā sukūñ tum lo maiñ mauj-e-ḳhatar le luuñ
yuuñ vaqt ke dariyā ko taqsīm kareñ bāham