Zubair Rizvi

sham hone wali thi jab wo mujhse bichhDa tha zindagi ki rahon mein

Zubair Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1935-2016
shaam hone vaalī thī jab vo mujh se bichhḌā thā zindagī kī rāhoñ meñ
sub.h jab maiñ jaagā thā vo jo mujh se bichhḌā thā so rahā thā bāhoñ meñ
mai-kade meñ sab ke sab jaam haath meñ le kar dostoñ meñ baiThe the
duur log masjid meñ rab ko yaad karte the dil kī bārgāhoñ meñ
vo zamīñ ke shahzāde tiir aur kamāñ le kar jañgaloñ meñ phirte the
ik hiran jo zaḳhmī thā dauḌtā huā aayā rādhikā kī bāhoñ meñ
ham pale charāġhoñ meñ raushnī se rishta thā nuur ham meñ rahtā thā
chāñd le ke vo nikle jin ko ham ne dekhā thā zulmatoñ kī bāhoñ meñ
auratoñ kī āñkhoñ par kaale kaale chashme the sab kī sab barahana thiiñ
zāhidoñ ne jab dekhā sāhiloñ kā ye manzar likh diyā gunāhoñ meñ
ham ne ahd-e-vustā ke saare tāj-dāroñ kī yādgāreñ dekhī haiñ
taaj sab meñ yaktā hai aur shāhjahāñ tanhā saare bādshāhoñ meñ
Top Urdushayar.com