ham bichhaḌ ke tum se bādal kī tarah rote rahe
thak ga.e to ḳhvāb kī dahlīz par sote rahe
zindagī ne haath se ḳhanjar na rakhā ek pal
ham qatīl-e-ġhamza-o-nāz-e-butāñ hote rahe
lok lahje kā suhānā-pan suḳhan kī naġhmagī
shahr kī ābādiyoñ ke shor meñ khote rahe
kyuuñ matā-e-dil ke luT jaane kā koī ġham kare
shahr-e-dillī meñ to aise vāqiye hote rahe
surḳhiyāñ aḳhbār kī galiyoñ meñ ġhul kartī rahīñ
log apne band kamroñ meñ paḌe sote rahe
mahfiloñ meñ ham rafīq-o-rāz-dāñ samjhe ga.e
ghar ke āñgan meñ magar tanhā.iyāñ bote rahe