mujhe tum shohratoñ ke darmiyāñ gumnām likh denā
jahāñ dariyā mile be-āb merā naam likh denā
ye saarā hijr kā mausam ye saarī ḳhāna-vīrānī
ise ai zindagī mere junūñ ke naam likh denā
tum apne chāñd taare kahkashāñ chāhe jise denā
mirī āñkhoñ pe apnī diid kī ik shaam likh denā
mire andar panāheñ DhūñDtī phirtī hai ḳhāmoshī
lab-e-goyā mire andar bhī ik kohrām likh denā
vo mausam jā chukā jis meñ parinde chahchahāte the
ab in peḌoñ kī shāḳhoñ par sukūt-e-shām likh denā
shabistānoñ meñ lau dete hue kundan se jismoñ par
havā kī uñgliyoñ se vasl kā paiġhām likh denā