chhoḌ kar ghar kī fazā ra.anā.iyāñ pachhtā ga.iiñ
rāstoñ kī dhuul meñ ārā.isheñ kajlā ga.iiñ
kis ne phailā dī mire āñgan meñ chādar dhuup kī
mere mahtāboñ kī saarī sūrateñ kumhlā ga.iiñ
apnā tanhā aks pā kar maiñ ne kañkar pheñk dī
sat.h-e-sāhil par ka.ī parchhā.iyāñ lahrā ga.iiñ
muddatoñ ke ba.ad jī chāhā thā chhat par soiye
raat pahlū meñ na leTī thī ki būñdeñ aa ga.iiñ
kūcha kūcha kāTte phirte haiñ yādoñ kā likhā
dil ko jaane kyā tirī rusvā.iyāñ samjhā ga.iiñ
duur tak koī na aayā un rutoñ ko chhoḌne
bādaloñ ko jo dhanak kī chūḌiyāñ pahnā ga.iiñ
shaam kī dahlīz par Thahrī huī yādeñ 'zubair'
ġham kī mehrāboñ ke dhundle ā.īne chamkā ga.iiñ