pahle na uḌāyā kisī bekas ke jigar ko
par ham ne lagā.e haiñ tire tīr-e-nazar ko
hai tīr-e-nigah bazm-e-adū meñ mirī jānib
ġhusse meñ chhupāyā hai mohabbat kī nazar ko
kyuuñ ātish-e-gul baaġh meñ hai tez ki ham aap
uTh jā.eñge ai shabnam-e-shādāb sahar ko
din raat kā farq un kī mohabbat meñ hai ab to
va.ada to kiyā shaam kā aur aa.e sahar ko
dil chiiz hai kyā jaan bhī duuñ ishq meñ 'sābir'
maiñ naf.a samajhtā huuñ mudām aise zarar ko