Zubair Rizvi

hum baad-e-saba le ke jab ghar se nikalte the

Zubair Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1935-2016
ham bād-e-sabā le ke jab ghar se nikalte the
har raah meñ rukte the har dar pe Thaharte the
vīrāna koī ham se dekhā nahīñ jaatā thā
dīvār uThāte the darvāze badalte the
āvāra se ham laḌke rātoñ ko phirā karte
ham sarv charāġhāñ the chaurāhoñ pe jalte the
ye ḳhāk-e-jahāñ un ke qadmoñ se lipaT jaatī
jo raah ke kāñToñ ko chunte hue chalte the
ik shaam sar-e-mahfil ham ne bhī use dekhā
ye sach hai un āñkhoñ meñ mai-ḳhāne machalte the
Top Urdushayar.com