ḳhurshīd kī beTī ki jo dhūpoñ meñ palī hai
tahzīb kī dīvār ke saa.e meñ khaḌī hai
dhuñdlā ga.e ranjish meñ us āvāz ke shīshe
barsoñ jo samā.at se ham-āġhosh rahī hai
ab tak hai vahī silsila-e-ḳhāna-ḳharābī
ai ishq-e-sitam-pesha tirī umr baḌī hai
ham aa.eñ to ġhairoñ kī tarah bazm meñ baiTheñ
ai sāhab-e-ḳhāna tirī ye shart kaḌī hai
Dasvāyā hai phunkārte sāñpoñ se badan ko
tab jā ke ye ik daulat-e-fan haath lagī hai
naqqād ke hāthoñ meñ haiñ tanqīd ke teshe
sahmī huī taḳhlīq kitāboñ meñ paḌī hai