kuchh dinoñ is shahr meñ ham log āvāra phireñ
aur phir is shahr ke logoñ kā afsāna likheñ
shaam ho to dostoñ ke saath mai-ḳhāne chaleñ
sub.h tak phir raat ke tāqoñ meñ be-masraf jaleñ
muddateñ guzrīñ ham us kī raah se guzre nahīñ
aaj us kī raah jaane ke bahāne DhūñD leñ
shahr ke dukh kā mudāvā DhūñD lo chāragaro
is se pahle log dīvāreñ siyah karne lageñ
ek jaise manzaroñ se aañkh be-raunaq huī
aao ab kuchh der dīvāroñ se bāhar jhāñk leñ
pahle ghar se be-ḳhayālī meñ nikal paḌte the log
ab taqāzā-e-junūñ ye hai ki vo achchhe lageñ