milan mausamoñ kī sazā chāhtā huuñ
tire hijr kī intihā chāhtā huuñ
sadāoñ se mahrūm apnī galī meñ
bas ik terī āvāz-e-pā chāhtā huuñ
kisī ek halchal meñ vo saath hotā
maiñ āvāra-e-shab bujhā chāhtā huuñ
gulāboñ ke hoñToñ pe lab rakh rahā huuñ
use der tak sochnā chāhtā huuñ
tirī qurbateñ raakh hone lagī haiñ
maiñ ab dūriyoñ meñ jiyā chāhtā huuñ
koī rahguzar ho kahīñ kā safar ho
maiñ har jā tire naqsh-e-pā chāhtā huuñ
bahut din hue mor nāche nahīñ haiñ
muñDeroñ pe kaalī ghaTā chāhtā huuñ